II Shri Vishnuji Aarti  II
Om jai Jagdish hare, Swami jai Jagdish hare, Bhakt jano ke sankat
Daas jano ke sankat, Kshan mein door kare, Om jai Jagdish hare

Jo dhyave phal pave, Dukh bin se mun ka, Swami dukh bin se mun ka
Sukh sampati ghar aave, Kasht mite tun ka, Om jai Jagdish hare

Maat pita tum mere, Sharan gahu mein kiski, Swami sharan gaho kiski
Tum bin aur na dooja, Aas karun mein jiski, Om jai Jagdish hare

Tum puran Parmatma,Tum Antaryami, Swami tum Antaryami
Par Braham Parmeshwar, Tum sabke swami, Om jai Jagdish hare

Tum karuna ke sagar, Tum palan karta, Swami tum palan karta
Mein sevak tum swami, Kripa karo Bharta, Om jai Jagdish hare

Tum ho ek agochar, Sab ke pranpati,Swami sab ke pranpati
Kis vidh milun Dyamaye, Tum ko main kumti, Om jai Jagdish hare

Deen bandhu dukh harta, Tum rakshak mere,
Apne haath uthao, Dwar pada tere, Om jai Jagdish hare

Vishay vikar mitao, Paap haro Deva, Shradha bhakti badao
Shradha prem badao, Santan ki seva, Om jai Jagdish hare

No comments:

Post a Comment

Thanks for your valuable feedback!

Navratri Pujan

The Hindu festival of Navratri is celebrated twice a year. The first Navratri of the year is known as Chaitra Navratra, as it falls i...